My add

Namaj kayam karo

Sunday, February 5, 2017

NABIYE KAREEM SALLALLAHU ALAIHI WSALLAM KA FARMAN

    *🅿YARE NABI ﷺ KI PYARI BAATEIN GROUP*
_صلی اللہ تعالی علیہ وسلم_
________________________________
       *🗓05-february-2017🗓*
    *🗓07-🌙Jamadil-Awwal-1438🗓*
________________________________
            *🌟🌺HADEES🌺🌟*
     
_🔷NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya Jab koi qoum ALLAH TAALA ke Zikr ke liye baithti hai, to farishte unko gher lete hain, Aur Rehmat unko dhaanp leti hai, aur ALLAH TAALA Farishtou ke saamne unka zikar farmata hai._
*(Sahih Muslim,hadith no:6855)*

_🔷NABI E KAREEM sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya Jo din me 50 martaba mujh par Durood padhega Qayamat ke din Main usse Musafaha karunga...._
*(Al Qawl ul Badee,pg:261)*

_🔷NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya Qasam hai us zaat ki jiske qabza e qudrat me meri jaan hai! Kisi shakhs ke dil me imàan dakhil hi nahi hosakta jab tak ke wo tum (Ahle Bait) se ALLAH aur uske RASOOL Sallallahu alaihi wasallam ki khatir Mohabbat na kare._
*(Jame Tirmizi,hadith no:4125)*

              *📜🌺SABAK🌺📜*

_🔹Neik kaam karne se insaan ke dil ko 2 martaba Rahat milti hai._
_1) Jab wo neik kaam kiya jata hai_
_2) Jab uska Ajar milta hai._

_🔹3 Aise Khushnaseeb hain jo Qayamat ke din Arsh ke saye ke niche honge, jis din siwaye Arsh ke saye ke koi saya na hoga._
_1) JIsne kisi mere Ummati ki takleef ko dur kiya,_
_2) Jisne meri sunnat ko zinda kiya,_
_3) AUR JISNE MUJH PAR KASRAT SE DUROOD BHEJHA._
*(Al Qawl ul Badee,pg:232)*

_🔹ALLAH ki maqlooq ke saath Neki karne se jis qadar shukar guzari hoti hai wo aur kisi surat me mumkin nahi._
*(Hazrath Ali Raziallahu taala anhu)*

_🔹Jahan tak hosake bure guman se bacho ye ache rishtou ko kharaab kardeta hai._
________________________________
      *📢join whatsapp group*
        *Hafiz Muhammad zaker ali*
      *📱8686613095📱*
_👉 sawab ki niyyat se share kariye apke friends aur groups me_ Thank you Islamic massage ke liye hame follow Kare Khuda Haf iz

https://rkvegitable.blogspot.in/?m=1

No comments:

Post a Comment